Wednesday 8 April 2015

Pr.shahzaib RBS Clinic Naujawanon Kay Masail Aur Unka Hal Naujawanon Kay Masail Aur Unka Hal Mazeed Jinsi Mughalitey Masa'el AurHal

Naujawanon Kay Masail Aur Unka Hal Mazeed Jinsi Mughalitey Masa'el AurHal Zakar Ka Size(Size of penis) Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya, baap ney bataya kay iss kay betey ko koi masla hai. Naujawan bohut khaufzada aur ghabraya hua lag raha tha. Meine walid ko kamrey sey janey ko kaha ta'kay mein bachey sey khul kar baat kar saku'n. Ju'nhi walid kamrey sey baher nikla, betey ney foran apni shalwar khol di aur bataya kay uska zakar bohut chota hai, jiski wajah sey woh apni biwi ko mutma'en nahion kar sakey ga. Uski jald shadi honay wali thi. Mardon mein zakar kay hawaley sey bohut sey khadshaat aur ghalat fehmiyan paee jati hain. Aksar mard apney zakar ki shakal, size, saakht aur motaee kay hawaley sey bohut hassas (concious) hain. Sab sey pehley lambaee ko letey hain. Jis tarah saarey mard qadd kay lehaz sey baraber nahin yani unn kay qadd mein farq aur ikhtilaf hai, isi tarah unn kay zakar ka size ek jaisa nahin.Kisika zakar bara aur kisi ka chota.Zakar ki lambaee ka fard kay qadd kaath kay sath koi ta'alluq nahin. Iss silsiley meinAmericamein ek survey hua to ma'aloom hua kay sab sey lamba zakar uss fard ka tha jis ka qadd ausat (average) sey kam tha. Mera ek client jiska qadd 6 feet sey zyada tha, kay zakar ka size aam logon sey kam tha. Bohut sey naujawanon ka khayal hota hai kay unn ka zakar lambaee mein chota hai jis ki wajah sey woh shaadi kay qabil nahin hotey. Aksar naujawanon ko apney zakar kay hawaley sey sirf ghalat fehmi hoti hai kay woh chota hai hala'n kay woh chota nahin hota. Iss ghalat fehmi ki kaee wajoohaat hain. 1. Fard apney zakar ko ooper sey dekhta hai, jiski wajah sey sara zakar nazar nahi aata aur fard samajhta hai kay uss ka zakar chota hai. Mazeed agar fard ka paet kuch nikla hua ho to woh bilkul hi chota nazar aata hai. 2. Iss kay elawa naujawan fahash films kay hero kay zakar kay sath apney zakar ka mawazna kartey hain. Fahash films mein kaam karney kay liye aisey afraad ka intekhab kya jata hai jin ka zakar lamba ho maslan ek American actor ka zakar 18 inches lamba hai. Iss kay elawa camera trick ki madad sey aam zakarko lamba kar kay dikhaya jata hai jis ki wajah sey iss actor ka zakar muqablatan bohut lamba nazar aata hai. 3. Ba'az naujawan apney sukrrey juey bohut chotey zakar sey apney asal zakar kay size ka andaza lagatey hain jab kay ba'az logon ka sukrra hua zakar bohut chota ho jata hai jab kay akarr kar kafi lamba ho jata hai. Lehaza zakar ka asal size akrrahat wala hota hai. 4. Iss tarah ba'az naujawan apney doston kay barey zakar kay sath apna muqabla kartey hain agarcha inn ka zakar kuch chota hota hai magar unko kuch zyada hi chota mehsoos hota hai Iss ghalat fehmi ko iss tarah duur kya jasakta hai. 1. Tanau (erection) honay per fard aaeyney kay samney khara ho kar side sey apney zakar ko dekhey to uss ki ghalat fehmi duur ho jaey gi. 2. Akrey huey zakar ki paemana sey aazma'esh kar li jaey to bhi ghalat fehmi duur ho jaey gi. Khushkhabri yeh hai kay aksar afraad ka zakar unn kay apney khayal sey bara hota hai. Agarcha zakar ki lambaee ka koi meyar nahin ta'hum ek survey kay mutabiqAmericamein 50% logon ka zakar 5 inch sey kam hota hai aur lambey sey lamb 13 inch ka. Magar wahan 4 inch ka akrra hua zakar normal mil jata hai.Pakistanmein 3 inch ka akrra (erected) hua zakar normal samjha jata hai. Qadd kaath ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin. Albatta hathon kay size ka zakar kay size kay sath kuch ta'alluq hai. Amooman barey hathon waley afraad kay zakar lambey hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay woh zakar jo faraj (vagina) mein dakhil ho jaey normal hai. (Hyde) Kya Aurtein Lamba Zakar Pasand Karti Hain? Aam mardon ka khayal hai kay bara zakar behter hai kyunkay aurtein lamba zakar pasand karti hain, jab kay aurtein zakar kay size kay hawaley sey kam hi sochti hain. Bohut kam aurtein lambey zakar ko pasan d karti hain. Hite ki research kay mutabiq aksar aurtein chotey zakar ko pasand karti hain. Ek aur research sey ma'aloom hua kayaurton ko ausat (average) size ka zakar pasand tha. Zakar Kay Size Kay Hawalewy Sey Aurton Ka Khayal Bohut lamba zakar kisi bhi aurat ko pasand na tha kyun kay bohut lamba zakar bacha dani kay mu'nh per zarb lagata hai jis sey aurat ko takleef hoti hai. Isi liye bohut lambey zakar waley afraad nakhush hain, kyun kay unn kay lambey zakar ko dekhtey hi aurton ney mubaashirat sey inkar kardiya, isliye unn ki khwahish thi kay kaash unn ka zakar chota hota. (Hite) Jinsi Lutf Aur Aurat Ki Tasalli Kay Liye Lamba Zakar Zaroori Nahin Yeh khayal bhi aam hai kay bharpoor jinsi lutf, khushgawar azdwajii zindagi aur biwi ko mutma'en karney kay liye lambey zakar (penis) ki zaroorat hai. Haqeeqat yeh hai zyada jinsi lutf aur biwi ki tasalli ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin, kya lambi naak sey insaan ko zyada khushbuu aati hai ya kya barri aankhon sey zyada nazar aata hai. Aurat ko gosht nahin bulkay ek mohabbat karney waley insaan ki zaroorat hai. Waisey mubaashirat mein zakar ki lambaee kay bajaey uski sakhti zyada ahem hai aur chota zakar nisbatanzyada sakht hota hai. Uani iss mein zyada tanau (erection) hota hai. Mazeed aurat ki faraj ka size 3 ta 4 inch hota hai aur faraj ka sirf baerooni 1/3 hissa yani pehla 1 ta 1.5 inch hissa hi zyada hassas hota hai. Iss ka peechey wala hissa zyada hassas nahin hot. Hassas hissey tak 3 inch ka zakar bohu aasani sey pohonch jata hai. Mahireen ka khayal hai kay agar mard kay zakar ki lambaee 2 inch sey kuch zyada ho to yeh aurat ki faraj kay hassas hissey tak aasani sey pohonch jata hai jis sey aurat bharpoor lutfandoz hoti hai. (Kothari) Zakar Ko Lamba Karnay Ka Tariqa Kya Zakar Ko Masnooee Tareeqey Sey Lamba Kya Ja Sakta Hai? Zakar ko lamba karney ki bohut si koshishein hui hain magar kaamyaabi nahin ho saki. Ba'az auqaat jar kay ird gird ka gosht kaat diya jata hai jis sey is ski lambaee mein ma'amooli sa farq parr jata hai. Yeh bhi ek dhoka hai kyun kay asal zakar ki lambaee mein to koi izafa nahin hota. Ba'az log vacuum waghaera sey zakar ko lamba karney ka da'awa kartey hain iss ki madad sey 5 % tak ka izafa ho sakta hai jo kay na honay kay baraber hoga. Iss tarah ba'az iehteharo'n mein organ developer ka zikr hota hao is ski bhi kpoi haqeeqat nahin, qissa mukhtasir yeh kay zakar ki lambaee mein izafa nahin kya ja sakta aur na hi iss ki zaroorat hai. (Reuben) Sukrra Hua Bohut Chota Zakar Ba'az afraad ka narm zakar (penis) bohut hi chota hota hai lekin tanau (erection) mein ek ma'aqool hudd tak lamba ho jata hai. Ba'az naujawan iss fotri soorat-e-haal sey bhi bohut pareshan ho jatey hain. Zakar (penis) darasal radio kay antenna ki tarah hai, jisey zaroorat kay waqt lamba kya ja sakta hai. Zaroorat na ho to chota ho jata hai ta'kay yeh fard kay chalney phirney ki activities mein rukawat na baney. Lehaza yeh koi masla nahin. Dilchasp baat yeh hai kay agar sukrra hua zakar zyada chota hai to tanau mein woh nisbatan zyada lamba ho jata hai aur sukrra hua lamba zakar tanau mein kam lamba hota hai. Maslan ek fard ka sukrra hua zakar 2 inch ka hai to tunn kar woh 4 inch ka ho jaey ga doosri taraf 3 inch ka sukrra hua zakar tanau mein 4.5 inch ka hoga. Chotey Zakar Sey Aulaad Paeda Nahin Hoti…? Merey clinic mein ek naujawan client aaya jokay bohut fikrmand aur pareshan tha. Jis ki haal hi mein shadi hui thi woh pareshan is liye tha kay uska zakar bohut chota tha. Uska khayal tha kay chotey zakar sey aulad paeda nahin hoti. Yeh ek bilkul ghalat tasawwur hai kay aulad ki paeda'esh kay liye lamba zakar hona zaroori hai. Mani (semen) ko agar chamach mein daal kar faraj (vagina) kay ander daal diya jaey to bhi bacha paeda ho jaey ga. Iss tarah chotey sey chota zakar bhi bachey ki paeda'esh mein koi rukawat nahin. Doosrey alfaz mein zakar kay size ka aulad ki paeda'esh kay sath koi ta'alluq nahin. (kothari) Zakar Ka Mota Hona Zaroori Nahin Zakar ki lambaee kay elawa bohut sey naujawan uski motaee kay hawaley sey bhi ghalat fehmi ka shikar aur pareshan hain.Innka khayal hai kay aurat kay bharpor jinsi lutf kay liye zakar ka mota hona zaroori hai. Iss mein bhi koi haqeeqat nahin. Zakar ki lambaee ki tarah zakar ki motaee bhi mukhtalif logon ki mukhtalif hoti hai. Faraj (vagina) darasal khali tube ya syringe ki tarah koi khula rasta nahin hai bulkay yeh ek bund gali hai jis ki donon deewarein aapas mein mili hoti hain. Jinsi haejaan mein faraj ka baerooni 2/3 hissa phool kar faraj kay mu'nh ko mazeed tung kar deta hai, iss soorat mein agar faraj kay ander suii bhi dakhil I jaey to aurat ko iss ka poora ehsaas ho ga. Lehaza kamyaab aur khushgawar mubaashirat kay liye zakar ki motaee ki koi khas ahmiyat nahin.Agarcha ba'az khawateen motey zakar ko pasand karti hain ta'hum patley sey patla zakar bhi aurat ko bharpoor jinsi lutf sey humkinar kar dey ga. Waisey zakar ki amoomi motaee 4 inch ta 4.5 inch hoti hai. Jarr Sey Patla Zakar Kamzori Ki Alamat…? Majeed ek naujawan client tha. 24 sala majeed ki haal hi mein shadi honay wali thi who sakht fikrmand tha kyun kay uska zakar jarr sey patla tha. Uska khayal tha kay yeh mardana kamzori ki alamat hai, amooman aksar afraad ka zakar jarr sey patla aur ooper sey mota hota hai. Naujawan isey kamzori samajhtey hain neem hakeem iski wajah mushtzani (masturbation) qarar detey hain hala'n kay yeh ek normal jismani haqeeqat hai na kay koi kharabi, lehaza pareshan honay ki zaroorat nahin. Darasal zakar ek ghubbarey ki tarah hai jo pubic bone kay sath jurra (fix) hota hai. Jab iski naliyon mein khoon daurta hai to yeh akarr jata hai magar chu'n kay neechey waley hissey mein zyada khoon nahin hota jis ki wajahsey nichla hissa kuch patla jab kay ooper wala hissa nisbatan zyada phool jata hai. Iss tarah ba'az afraad ka zakar darmiyan mein sey qadrey patla hota hai yeh bhi koi beemari nahin na hi iska elaj karaney ki zaroorat hai. Iski wajah yeh hoti hai kay ba'az afraad kay zakar ki naliyan darmiyan mein kuch p[atli hoti hain jis ki wajah sey wahan zyada khoon nahin jata aur wahan sey zakar kuch patla reh jata hai magar inn logon ko mukammal tana'u hota hai. (mubeen) Zakar Ki Jarr Per Baal Kamzori Ki Alamat…? Baloghat mein har naujawan kay zer-e-naaf baal ugg aatey hain j okay baloghat ki nashani hai. Islam mein inn baalo'n ko har 15 din ba'ad saaf karney ka hokum hai. Ba'az logon ka khayal hai kay safaee kay elawa iss sey mardana quwwat mein bhi izafa hota hai. Ba'az auqaat zakar kay neechey waley hissey yani jarr per bhi baal ugg aatey hain. Isssuratmein bhi pareshan honay ki zaroorat nahin kyun kay yeh koi kharabi ya beemari nahin. Iss tarah mardon ki chaati per bhi baal hotey hain, kisi kay zyada, kisi kay kam aur kisi kay nahin bhi hotey. Yeh sab kuch normal hai albatta agar kisi fard kay chehrey aur zer-e-naaf baal na aaein to kisi zchey doctor sey mashwara karein magar iska bhi fard ki mardana quwwat kay sath koi ta'alluq nahin. (mubeen) Zakar Ka Ek Taraf Jhuka Hona Kamzori Ki Alamat…? Aksar naujawanon ka khayal hota hai kay zakar ko pencil ki tarah seedha hona chahiyie na kay da'ein, ba'ein, ooper ya neechey ko jhuka hua. Akrra hua zakar da'ein taraf ko terha hota hai ya ba'ein taraf ko.Kisika ooper aur kisi ka neechey jhuka hota hai. Bohut hi kam logon ka akrra zakar bilkul seedha hota hai. Aisa hona bhimushkil hai kyun kay zakar haddi ya kisi sakht cheez ka bana hua nahin hota (agarcha ba'az janwaron kay zakar mein haddi hoti hai) bulk ay narm gosht ka bana hota hai. Jab iss mein zyada khoon jata hai aur doosri taraf kam khoon nikalta hai to yeh akarr jata hai aur phir yeh kisi na kisi taraf murr jata hai. Amooman 85% logon ka zakar baei'n taraf ko terha hota hai, isi tarah amomman fard ka baya'n khusya (testicle) daei'n sey kuch neechey hota hai. Zakar Ki Kamzori Ki Alamat Amooman 1 cm. Fard kay zakar ka taerha pan koi beemari nahin, yeh ek bilkul normal, fitri amar hai. Iss wajah sey dakhool (penetration) mein koi diqqat nahin hoti. Jab kay neem hakeem isey khatarnaak beemari samajhtey hain, jis ki wajah mushtzani (masturbation) ko qarar detey hain. Agar aap apni ungliyon ko akrra kar dekhein to woh bhi pencil ki tarah seedhi nahin hala'n kay innkay ander haddiyan hoti hain. Lehaza iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat hai aur na hi elaj ki. Albatta agar zakar bohut terha (45 ka zawiya) ho to yeh ek beemari hai. 'Peyronie's' hai ta'hum iski wajah bhi mushtzani nahin. Yeh beemari amooman darmiyani umr kay mardon ko hoti hai. Ba'az auqaat yeh beemari achanak ho jati hai. Yani fard jab raat ko soya to woh bilkul theek tha magar jab subah jaga to zakar terha hogaya. Isssuratmein zakar jar sey sakht aur ooper top per narm hota hai. Iss ka elaj amooman vitamin E sey kya jata hai. Aksar yeh elajkay baghaer 6 maah tae k saal mein khud hi theek ho jata hai. Isliye elaj kay liye jaldi karney ki zaroorat nahin. Ta'hum behter yeh hai kay kisi acheydoctor sey mashwara kar lein. Agar zakar thorey sey kuch zyada terha hai magar beemari nahin to yeh khush bakhti hai kyun kay iss surat mein ya to faraj (vagina) ki sides ko rugrrey ga jo zyada hassas hoti hain aur aurat ko zyada lutf aaey gay a phir G spot ko j okay aurat ka doosra hassas tareen jinsi maqam hai jis ko rugerrney sey taqreeban 50% aurteinpani kharij karti hain. Ek homeo doctor ney apni kitab meinlikha kay zakar ka terha pan khatarnaak beemari hai jis ki wajah mushtzani hai aur iss kay elaj ki zaroorat hai. Meine inn ko khat likha "doctor sahib aap apni shalwar utarein aur eeman dari sey dekhein kay kya aap ka zakar bilkul seedha hai" abhi taki jawab nahin aaya. Zakar Kay Ooper Ubhri Rugein Mardana Kamzori Ka Sabab Nahin Bantiin Fard kay zakar mein tanau tab paeda hota hai jab uski khoon ki naliyan khulti hain aur zyada miqdar mein khoon inn naliyon mein dorta hai aur doosri taraf nisbatan kam khoon baher nikalta hai iss wajah sey khoon ki yeh naliyan numayan ho jati hain aur phool jati hain. Yeh naliyan jitni zyada khulein gi itna hi zyada khoon inn mein daakhil ho ga aur nateejatan tanau itna hi zyada aur jald hoga. Yeh ek bilkul normal aur mufeed kaifiyat hai. Neem hakeemon ki wajah sey naujawanon ki aksaryat isey bhi khatarnaak beemari aur kharabi samajhti hai. Iss kibariwajah mushtzani bataee jati hai jab kay iss ki koi haqeeqat nahinkyun kay woh afraad jinho ney kabhi mushtzani nahin kii unnk ay zakar ki naliyan bhi ubhri hoti hain. Darasal jism kay har hissey mein jild kay neechey khoon ki naliyan (veins) hoti hain. Jism kay jin hisson mein charbi hoti hai wahan yeh saaf nazarnahin aatiin jaisey bazu waghaera magar jahancharbi nahi hoti wahan yeh saaf nazar aati hain. Zakar kay elawa hath ki pusht per bhi yeh naliyan amooman saaf nazar aati hain. Ba'az logon ki yeh naliyan zyada numayan hoti hain aur ba'az ki kam. Jin kay hathon ki naliyan zyada numayan hoti hain kya unn kay hath zyada kamzor hotey hain. Zakar Ki Kamzori Ki Alamat Woh aurtein jin kay hath gudaaz hotey hain unn kay hath ki naliyan nazar nahin aatiin to kya unn kay hath mardon kay hathon sey zyada taqatwer hotey hain. Zahir hai kay aisa nahin. Lehaza zakar ki naliyon ka nazar aana bhi koi beemari nahi aur na hi koi fardiss sey jinsi tor per kamzor hota hai. Albatta khusya dani (scrotum) ki naliyan agar bohut zyada numayan hon to yeh ek beemari Varicose hai jis sey kuch logon ko banjhpan (infertility) ho sakta hai magar lazmi nahin. Isssuratmein kisi achey urologist sey mashwara kiya jaey. Zakar Per Massey Kisibhi sehatmand insaan kay jism kay kisi bhi hissey per massey nikal saktey hain. Aam haalaat mein hum iss kaifiyat sey pareshan nahin hotey khwah yeh massey chehrey per hi kyun na hun. Isi tarah zakar per masson ka namoodaar hona bhi aam si baat hai na kay koi beemari. Yeh massey jinsi salahiyat ya jinsi amal per kisi tarah sey asarandaz nahin hotey, lekin la ilmi ki wajah sey aam naujawan inn masson per pareshan ho jatey hain. Yeh massey aasani sey nikaley ja saktey hain aur agar nab hi nikaley jaei'n to bhi koi harj nahin. Zakar Per Sakht Gatthey Parr Jana Amooman adherh umer kay ba'az logon kay zakar mein sakht qism kay gatthey ya gaanthein ban jati hain, yeh ek beemari hai jis ka pehli baar zikr ek French surgeon ney kya. Inn ki wajah sey zakar ka tanau muta'assir hota hai. Jab thori bohut erection hoti hai to fard ko nehayat takleef hoti hai jis ji wajah sey fard mubaashirat nahin kar sakta kyun kay usey shadeed jismani aur zehni kost hoti hai. Abhi tak iska koi mu'asser elaj daryaft nahin hua lekin yeh beemari bohut hi ka mhai. Fori Tanau Aksar afraad ka khayal hai kay fard ko bijli kay bulb ki tarah fori tanau hona chahiyie. Jab aisa nahin hota to isey jinsi kamzori samajhtey hain aur pareshan ho jatey hain. Naujawanon ka tanau 20 saal ki umer tal fori hota hai magar phir umer kay barhney kay sath batadreej kam hota jata hai yani shuru mein tanau fori hota hai 40 saal ki umer kay ba'ad qadrey takheer sey hota hai. 60 saal ki umer kay ba'ad zara der sey hota hai. Yeh bhi hosakta hai kay iss umer mein tanau kay liye biwi kay chuney aur sehlaney ki zaroorat parey. Yeh sab kuch normal amal (function) hai. Taza tareen research sey ma'aloom hua hai kay 20 saal ki umer mein fard ko fori tanau hota hai. 50 saal kay ba'ad jawani sey do guna aur 70 saal kay ba'ad teen guna waqt darkaar hota hai. Yeh sab kuch normal hai na kay koi beemari. Zakar Kay Tanau Ka Meyaar Ba'az auqaat kuch afraad iss wajah sey pareshan ho jatey hain kay shayad unn kay zakar ka tanau kafi nahin aur shayad woh mubaashirat kay qabil nahin. Hala'n kay unn kay paas tanau mapney aur janchney ka koi paemana aur meyar nahin. Yeh sirf unn ka khayal hota hai kay unn ka tanau kafi nahin. Tanau Ka Meyar Tanau ka ek hi meyar hai agar mian mubaashirat kay waqt apney zakar ko biwi ki faraj mein dakhil kardey to uss ka tanau bilkul normal hai. Ta'hum ek baat yaad rahey kay insaani zakar kisi sakht cheez ya haddi ka bana hua nahin hai bul kay yeh narm gosht ka bana hua hai j okay khoon ki naliyon mein zyada khoon janey sey tunn jata hai aur sakht ho jata hai. Tanau kisuratmein zakar kay bohut zyada sakht honay ki tawaqqa nahin ki jasakti. Yeh ek bilkul normal kaifiyat hai. Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard(Painful Erection) Ba'az naujawan zakar mein tanau kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai. Iss kay elawa zakar ka bohut zyada terha pan Peyroie's Disease hai. Isssuratmein kisi achey urologist sey raabta karein. Kamyaab Jinsi Amal Kay Liye Zakar Ka Bohut Sakht Hona Zaroori Hai…? Aksar naujawanon ka khayal hai kay biwi ki jinsi tasalli kay liye zakar ka bohut sakht hona zaroori hai. Allah Ta'ala ney zakar bohut hi narm-o-nazuk faraj mein dakhil honay kay liye banaya hai na kay deewar mein soorakh karney kay liye. Ta'hum 17 ta 19 saal ki umer mein fard ka zakar tanau mein bohut sakht (hard) hota hai. Iss umer mein isey jins-e-mukhalif kay liye istaemal nahin kya jata, chunancha adam istaemaal aur umer kay barhney kay sath sath iss ki sakhti mein qadrey kami aa jati hai jo kay ek bilkul normal amal hai. Tanau Mein Kami Jinsi Kamzori Ki Alamat Aurat ki jinsi taskeen kay liye zakar kay sakht akrrao (hardness) ki hargiz zaroorat nahin. Hyte report sey bhi yehi sabit hua kay aurton ki aksaryat bohut sakht zakar aur zordaar jhatkon aur zarbaat (strokes) ko pasand nahin karti. Zakar ko kisi qadar sakht hona chahiyie, ta'hum iss ka koi paemana nahin. Iss ka ek hi meyar hai kay faraj mein daakhil ho jaey. Tanau Mein Pehley Sey Kami Jinsi Kamzori Ki Alamat…? Kuch afraad jab unn ki umer 30 saal sey zyada ho jati hai to woh apney jinsi jazbaat ki shiddat mein kuch kami aur zakar kay tanau ki taaqat (strength) mein 17/18 sal ki umer ki nisbat qadrey kami mehsoos kartey hain, jo agarcha bohut ma'amooli hoti hai magar yeh afraad pareshan ho jatey hain. Jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar ka tanau aur akrrao (hardness) 15 aur 20 saal ki umer kay doran bohut zyada hota hai. Neem hakeem iss ma'amooli kami ka ba'es mushtzani ya kasrat-e-jama'a (mubaashirat (Intercourse)) ko qarar detey hain. Yeh kaifiyat aur ma'amooli kami pareshani ka sabab nahin honi chahiyie kyun kay umer kay barhney kay sath sath jism kay har uzu ki taqat mein kami aa jati hai.Yeh cheez khel kay maedan mein bohut numaya'n hai. Aksar khelon kay numaya'n khilarri 20/25 saal ki umer kay lug bhug hotey hain. Magar 25 saal kay ba'ad inn ki karkardagi (strength) pehley ki tarah na Tanau Yani 30 saal ki umer mein fard jismani tor per 20 saal ki umer ki tarah mu'asser (efficient) nahin hota. Agarcha iss ki karkardagi bilkul khatam nahin ho jati. Zakar kay sath bhi yehi mu'amla hai. Yani umer kay barhney kay sath doosrey jismani a'aza ki tarah jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar kay tanau aur sakhti mein qadrey kami aa jati hai. Yeh ek fitri amal hai jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin. (zakar ki sakhti mein kami kay bawajood agar fard ki amoomi sehat theek hai to woh martey dum tk mubaashirat kay qabil hota hai, agarcha 60 saal kay ba'ad ba'az logon ko shakhsi (self) ya biwi ki taraf sey ishte'aal (stimulation) ki zaroorat parrti hai). Kya Apni Marzi Sey Tanau Paeda Kya Ja Sakta Hai…? Ba'az naujawanon ka khayal hai kay jis tarah fard apni marzi sey jab chahey apni ungli ya bazu ko khara krsakta isi tarah woh apni marzi sey jab bhi chahey apney zakar ko akrra sakta hai. Magar jab woh aisa nahin kar pata topareshan ho jata hai aur apney aap ko jinsi tor per kamzor aur na mard khayal karta hai. Yeh baat zehen mein rakhein kay tanau ka ta'alluq fard kay dimagh aur jism kay sath hai aur yeh tanau apni marzi, khwahish aur hukum (order) sey paeda nahin kya ja sakta yani koi fard humesha apni marzi sey tanau paeda nahin karsakta. Isi liye mahireen kehtey hain kay apni marzi sey har cheez hasil ki jasakti hai siwaey tanau (erection) kay. Darasal yeh bhook ki tarah ka ek uzwiati (physiological) amal (process) hai jis tarah koi fard apni marzi sey bhook paeda nahin kar sakta isi tarah Tanau Kay Liye Munasib Mahol Tanau bhi apni marzi sey paeda nahin kya ja sakta. jis tarah bhook paeda honay kay liye munasib uzwiati aur maholi (environmental) halaat (circumstances) zaroori hain, isi tarah tanau (erection) paeda karney kay liye bhi munasib uzwiati aur maholi muhij (stimulus) ka hona zaroori hai. Fard sirf uss waqt bhook mehsoos karta hai jab khana khaey kuch waqt guzargayaho. Iss kay elawa mahol aur khana kitna hi acha aur lazeez ho yeh awamil bhi bhook per asar andaz hotey hain. Isi tarah zakar mein tanau jab hoga jab fard jins (sex) kay hawaley sey sochey ga, parhey ga, dekhey ga, suney gay a lums mehsoos karey ga waghaera. Yeh cheezein tanau (erection) kay liye muheej hain. Kyun kay kisi bhi fard ko apney tanay per control nahin. Isliye ba'az auqaat fard ko kisi namunasib jagah maslan class room ya ghar mein maan baap kay samney tanau ho jata hai. Jisey woh shaoori tor per khatam nahin kar sakta aur sharminda hota hai. Yani tanau per fard ko shaoori control nahin. Iss tarah naujawan apney tanau ko check karney kay liye kisi paeshawar aurat kay paas jatey hain, magar wahan kkoshish kay bawajood unnko tanau nahin hota aur phir unn ko yaqeen aa jata hai kay woh biwi kay qabil nahin. Guzishta dinon merey paas ek naujawan larka elaj kay liye aya. Isey yaqeen tha kay woh na mard hai jab uss ka nafsiyati tajziya kyagayato ma'aloom hua kay uss ko kaee baar zina ka moqa mila. Uss ney koshish bhi ki magar ehsas-e-gunah aur khauf ki wajah sey usey tanau hi na hua. Khusyon Ka Size Khusyon (Testicles) Ka Size: Baaz naujawan apney Khusyon ki jisamat kay hawaley sey fikar mand hotey hain. Aam tor per tasawur kiya jata hai ka chotey size kay Khusyon wala insan jinsi tor per kamzor hota hai. Essi tarhan ki scrotum agar tani honay ka bajai dheli dhali aur latki hui ho ya bhi jinsi kamzori ki alamat samjhi jati hai. Jabka haqeeqat yeh hai ka testicles ka size yeh theli ki jild ki lachak ka jinsi qowat kay sath koi ta'alluq nahi. Khusyon (Testicles) Ki Golion Ka Ooper Neechey Hona: Kuch naujawan isliye bhi pareshan hotey hain ka enka testis ki golian kabhi ooper chali jatin hain aur kabhi neechey. Es hawaley sey pareshan hona ki zarorat nahi kyun ka yeh kisi kharabi ki alamat nahi bul kay aik normal physiological process hai. Darasal Sperms testis mein paeda hotey hain. Enka zinda rahna ka liye zarori hai ka testis ka temperature jism sey kuch kam ho. Kyun ka agar testis ka temperature jism ka temperature ka baraber hojaiga to sperm marjaingai aur insan yeh to aulad paeda na kar sakaiga aur agar aulad hogi bhi to yeh zyada tar larkian hongi. Fitrat nai es silsilai mein aisa nizam banaya hai ka sardion mein yeh golian ooper jism ka kareeb chali jatin hain taqai required temperature barqarar rahey kyun ka zyada thandhak bhi sperms ka liye nuqsan deh hai aur garmion mein yeh golian jism sey door neechey chali jati hain taqai enka temperature jism ka temperature sey kam rahey aur sperms ko koi nuqsan na pohnchey. Yad rahey kay hiddat (heat) sperms ki dushman hai. Mani Kay Hawaley Sey Mashhoor Ghalat Baatein Isliye garam jagahoon per kam karna walai log maslan truck driver aur bakery mein kam karna walai logo ki garmi ki wajha sey sperms ki ta'adad kam hojati hai aur enki aksar batiyan paeda hoti hai. Essi tarhan computer per zyada kam karna walai logon ki bhi batiyan zyada hoti hain. Es liye nojawano ko chahiya ka woh apna testis ko thanda rakhai. Garmion mein tight kaprey special tight underwear na pahnai aur jab bhi bathroom jain apna testis ka ooper 2 to 3 mins thanda pani dal lain. (Shettles) Golion ka ooper neechey jana koi kharabi nahi bul kay enka healthy function ka liye zarori hai. Es tarhan aik goli kuchbarihoti hai aur dusri kuch choti, yeh bhi koi defect nahi. Es sey pahla yeh bhi bataya ja chuka hai ka usually 85% left goli thora neechey hoti hai yeh bhi bilkul aik normal cheez hai. (Mobeen:Hyde) Mani (semen) Mushtzani (masturbation) kay baad sab sey zyada ghalat batain mani (semen) ka barai mein mashoor hain. Aksar naujawan mani (semen) ki quality ka hawaley sey pareshan hotey hain kay yeh patli hai ya garhi, thori hai yeh zyada, taqat sey nikalti hai yeh baghair taqat ka. Neem hakeem isey bhi khoob exploit kartain hain. Mani Ka Function Mani (semen) 3 jagha banta hai: 1.Testis 2.Prostate Glands 3.Seminal Vesicles En teeno jagha sey nikal kar peeshab ki nali mein jama hojata hai. Testis mein 2 types ka cells hotain hain. Aik kisim jinsi hormones testosterone paeda kartey hain jinka ta'alluq sexual drives aur mardana potency yani tanau (erection) ka sath hai. Yani es hormone ki wajha sey shawat aur penis mein tanau (erection) paeda hoti hai. Doosrey cell sperms paeda kartey hain jo bachai paeda karna ka sabab bantai hain. Insan jab aik bar ejaculate kar daita hai to kharij hona wali mani (semen) ki ta'adad 3.5ml hoti hai jismai 20 crore sey 1 million sperms hotey hain. Pregnancy ka liye 3 crore active sperms ki zarorat hai magar essuratmein usually larki paeda hoti hai. Agar sperms zyada hongai to larka paeda hona ka chances mein ezafa hojata hai. Sperm ka jinsi quwwat ka sath koi ta'alluq nahi. Agar sperms bilkul khatam bhi hojain to bhi insan ki mardana quwwat per koi asar nahi parta aur woh jinsi amal ka liye bilkul fit hota hai. Essi liye baaz afrat jinsi lihaz sey bohut mazboot aur active hotey hain magar woh bacha paeda nahi kar saktey hain. (Kothari:Shettle) Mani Ki Quality Mein Farq Infiraadi ikhtilafaat ki wajha sey mani (semen) ki quality mein farq hota hai. Jiska mardana quwwat (potency) kay sath koi ta'alluq nahi. Mani (semen) ka siwaey bachey paeda karney kay aur koi function nahi isliye iski quality ki bhi koi ahmiyat nahi. Mani (semen) sperms ka ekhraj ka liye aik carrier hai yani iss ka zariya sperms bahir attain hain. Iss ka elawa mani (semen) mein proten aur sugar waghaira ki sorat mein sperms ka liye khoorak hoti hai. Lehaza mani (semen) ki quality ka hawaley sey har giz pareshan hona ki zarorat nahi hai. Mani (semen) urine aur stool ki tarhan napak nahi. Kuch ulma esko bilkul napak samajhtai hain aur baaz essai khafef napak samajhtai hain. Lehaza dry mani (semen) ko ragarna hi kafi hai. Hazrat Ayesha Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ki dry mani (semen) ko ragar kar saf kardiya karti theen aur wash nahi karti thee albatta geli mani (semen) ko dhoya karti thee aur Hazrat Muhammad(P.B.U.H) unhi gelai kapron mein namaz ka liye masjid jaya kartey thai. Hazrat Ayeshafarmati hain ka "Mein Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapray sey mani (semen) ko mul deti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) es mein namaz parhtey". (Muslim) Aik dusri hadees mein ap farmati hain ka "Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka kapra sey mani ko mein dhoti phir Hazrat Muhammad(P.B.U.H) namaz ka liye tashreef laijatai aur dhona ka neshan usmai hota". (Bukhari,Muslim) Es silsila mein aik ahem masla yeh hai ka agar mani (semen) lutf ka sath yeh phir puri tarhan baghair lutf sey nikal jai to insan per ghussal farz hojata hai. Mani Khoon Sey Qeemti Cheez Hai_Ghalat Fehmiyan Mani Kay Hawaley Sey Mashhoor Ghalat Fehmiyan Mani Aik Qeemti Cheez Hai – Khoon Sey Bhi Qeemti? Neem Hakeemon ka khayal kay mutabiq mani (semen) johar-e-hayat aur aik bohut qeemti cheez hai. Famous formula hai ka 100 qatrey (drops) desi ghee ka to aik drop khoon ka aur 100 qatrey (drops) khoon ka to aik drop mani (semen) ka. Yani mani (semen) ka behna khoon kay behney sey bhi zyada qeemti hai. Mera aik naujawan client es khayal ki wajha sey pagal hogaya kyun ka iss ka khayal tha ka yeh aik bohut qeemti cheez hai. Aik bar yeh naujawan mushtzani (masturbation) kar raha tha. Inzaal (ejaculation) ka kareeb esko khayal aya ka to aik bohut qeemti cheez hai to esna mani (semen) ko collect kara aur drink kargaya. Latest research sey sabit howa hai ka mani (semen) quwwat-e-hayat nahi aur na hi yeh khoon sey qeemti hai aur na hi iss ka khoorak kay sath direct koi ta'alluq hai. Agar hota to ghareebon kay bachey paeda hi nahi hotey. Mardana kamzori ki wajha sey enki biwiyan bhag jatin. Aik Indian doctor Kaiwal Dheer nai hisab kitab kar kay andaza lagaya hai ka agar mani (semen) waqai khoon sey qeemti hai to aik bar inzaal (ejaculation) sey khoon ki aik bottle (500ml) nikal jati hai. Bohut sey logon nai kabhi na kabhi din mein 2 bar mushtzani (masturbation) zaror kari hogi. Essuratmein 2 bottles khoon ki nikalnay ka baad woh zinda kaisay rahey. Mera woh client jo din mein 15 bar tak kar leta tha essai to kisi bhi surat zinda nahi hona chahiya jab kay woh na sirf zinda hai bul kay healthy hai aur bachai paeda kar raha hai. Darasal mani (semen) thook sey ziyda qeemti nahi aur iss ka banney mein jism ki etni hi taqat sarf hoti hai jitni thook bananey mein.

No comments:

Post a Comment